ishq  kab  apne  maqāsid  kā  nigahbāñ  na  huā
kaun  sā  ġham  hai  jo  āḳhir  ġham-e-jānāñ  na  huā
laakh  chāhā  magar  afsos  ki  aañsū  na  thame
zabt-e-ġham  mujh  se  ba-qadr-e-ġham  pinhāñ  na  huā
terī  ishrat  hai  ki  gardūñ  ke  dabā.e  na  dabī
merā  ġham  hai  ki  hañsī  meñ  bhī  numāyāñ  na  huā
ġham-e-duniyā  ġham-e-uqbā  ġham-e-hastī  ġham-e-maut
koī  ġham  bhī  to  harīf-e-ġham-e-jānāñ  na  huā
zarre  zarre  se  ye  elān-e-pareshānī  hai
mutma.in  ḳhaak  vo  hogā  jo  pareshāñ  na  huā
jis  ke  dāman  se  hai  vābasta  mirā  zauq-e-hayāt
vo  bhī  kāfir  mire  me.aar  kā  insāñ  na  huā
maiñ  rahā  garche  har  ehsās  pe  masrūf-e-sujūd
koī  sajda  bhī  tirī  shaan  ke  shāyāñ  na  huā
barf-zār-zor-o-daulat  kā  har  afsurda  zamīr
zamzamoñ  se  mire  kab  sho.ala-ba-dāmāñ  na  huā
barq  nākām  mah-o-mehr  kavākib  māyūs
na  huā  mere  nasheman  meñ  charāġhāñ  na  huā
mere  taḳhlīq-e-adab  meñ  hai  qasīda  mādūm
mujh  se  'ehsān'  kisī  vaqt  ye  isyāñ  na  huā