ishq  kī  duniyā  meñ  ik  hañgāma  barpā  kar  diyā
ai  ḳhayāl-e-dost  ye  kyā  ho  gayā  kyā  kar  diyā
zarre  zarre  ne  mirā  afsāna  sun  kar  daad  dī
maiñ  ne  vahshat  meñ  jahāñ  ko  terā  shaidā  kar  diyā
tuur  par  rāh-e-vafā  meñ  bo  diye  kāñTe  kalīm
ishq  kī  vus.at  ko  masdūd-e-taqāzā  kar  diyā
bistar-e-mashriq  se  sūraj  ne  uThāyā  apnā  sar
kis  ne  ye  mahfil  meñ  zikr-e-husn-e-yaktā  kar  diyā
chashm-e-nargis  jā-e-shabnam  ḳhuun  ro.egī  nadīm
maiñ  ne  jis  din  gulsitāñ  kā  raaz  ifshā  kar  diyā
qais  ye  merāj-e-ulfat  hai  ki  ejāz-e-junūñ
najd  ke  har  zarre  ko  tasvīr-e-lailā  kar  diyā
mudda.ā-e-dil  kahūñ  'ehsān'  kis  ummīd  par
vo  jo  chāheñge  kareñge  aur  jo  chāhā  kar  diyā