mujhe  pūchhā  hai  aa  kar  tum  ne  us  aḳhlāq-e-kāmil  se
ki  maiñ  sharminda  ho  kar  rah  gayā  andāza-e-dil  se
nazar  ke  ruḳh  ko  yā  to  dil  kī  jānib  pher  lene  do
nahīñ  to  sāmne  aa  jaao  uTh  kar  parda-e-dil  se
umīdeñ  uTh  rahī  haiñ  saikḌoñ  ummīdvāroñ  kī
maiñ  tanhā  huuñ  magar  tanhā  nahīñ  uTThūñgā  mahfil  se
amīr-e-kārvāñ  jis  raushnī  ke  bal  pe  baḌhtā  hai
nikaltā  hai  vo  taarā  sub.h  hote  ḳhāk-e-manzil  se
unheñ  duniyā  ab  ashk-e-ġham  kahe  yā  ḳhuun  kī  būñdeñ
mohabbat  ne  charāġh  āñkhoñ  meñ  lā  kar  rakh  diye  dil  se
ab  us  nañg-e-mohabbat  se  kināra  bhī  to  mushkil  hai
mujhe  jis  kī  mohabbat  kā  yaqīñ  aayā  thā  mushkil  se
abhī  to  shaam  hai  āġhāz  hai  parvāna-sozī  kā
koī  is  sham.a  ko  āgāh  kar  do  sub.h-e-mahfil  se
abhī  tahqīq  behtar  hai  ki  phir  shikva  abas  hogā
ki  mīr-e-kārvāñ  vāqif  nahīñ  ādāb-e-manzil  se
miTāne  se  kabhī  naqsh-e-mohabbat  miT  nahīñ  saktā
mirā  afsāna  niklegā  tirī  rūdād-e-mahfil  se
ġhanīmat  hai  nazar  raushan  hai  dil  ab  tak  dhaḌaktā  hai
mohabbat  meñ  to  ye  āsāniyāñ  miltī  haiñ  mushkil  se
ufuq  ke  aa.ine  meñ  ho  na  ho  dhāre  ke  saa.e  meñ
nazar  aatī  haiñ  tūfānoñ  kī  sarhad  jaise  sāhil  se
tirā  jalva  to  kyā  tū  ḳhud  bhī  tafrīh-e-nazar  hotā
mirī  āñkhoñ  ne  ab  tak  bhiik  māñgī  hī  nahīñ  dil  se
sitam  kī  āḳhirī  manzil  pe  iz.hār-e-pashemānī
nikal  aate  haiñ  aañsū  yuuñ  to  har  dukhte  hue  dil  se
maiñ  ik  zarra  huuñ  lekin  vus.at-e-sahrā  se  vāqif  huuñ
uThā  saktā  nahīñ  ḳhud  mīr-e-mahfil  mujh  ko  mahfil  se
tahayya  kar  liyā  tañg  aa  ke  go  tark-e-ta.alluq  kā
magar  ab  fikr  hai  ye  ḳhat  unheñ  likkheñge  kis  dil  se
mujhe  'ehsān'  mere  qāfile  vāloñ  ne  ab  samjhā
ki  ye  zarra  sitārā  ban  gayā  taqdīr-e-manzil  se