Ehsan Danish

na siyo honT na KHwabon mein sada do hum ko

Ehsan Danish

Shamli, Uttar pradesh, India

1915-1982
na siyo hoñT na ḳhvāboñ meñ sadā do ham ko
maslahat kā ye taqāzā hai bhulā do ham ko
jurm-e-suqrāt se haT kar na sazā do ham ko
zahr rakkhā hai to ye āb-e-baqā do ham ko
bastiyāñ aag meñ bah jaa.eñ ki patthar barseñ
ham agar so.e hue haiñ to jagā do ham ko
ham haqīqat haiñ to taslīm na karne kā sabab
haañ agar harf-e-ġhalat haiñ to miTā do ham ko
ḳhizr mash.hūr ho ilyās bane phirte ho
kab se ham gum haiñ hamārā to patā do ham ko
ziist hai is sahar-o-shām se bezār o zubūñ
lāla-o-gul kī tarah rañg-e-qabā do ham ko
shorish-e-ishq meñ hai husn barābar kā sharīk
soch kar jurm-e-tamannā kī sazā do ham ko
jur.at-e-lams bhī imkān-e-talab meñ hai magar
ye na ho aur gunāhgār banā do ham ko
kyuuñ na us shab se na.e daur kā āġhāz kareñ
bazm-e-ḳhūbāñ se koī naġhma sunā do ham ko
maqsad-e-zīst ġham-e-ishq hai sahrā ho ki shahr
baiTh jā.eñge jahāñ chāho biThā do ham ko
ham chaTāneñ haiñ koī ret ke sāhil to nahī
shauq se shahr-panāhoñ meñ lagā do ham ko
bhiiḌ bāzār-e-samā.at meñ hai naġhmoñ kī bahut
jis se tum sāmne ubhro vo sadā do ham ko
kaun detā hai mohabbat ko parastish kā maqām
tum ye insāf se socho to duā do ham ko
aaj māhaul ko ārā.ish-e-jāñ se hai gurez
koī 'dānish' kī ġhazal lā ke sunā do ham ko
Top Urdushayar.com