na  siyo  hoñT  na  ḳhvāboñ  meñ  sadā  do  ham  ko
maslahat  kā  ye  taqāzā  hai  bhulā  do  ham  ko
jurm-e-suqrāt  se  haT  kar  na  sazā  do  ham  ko
zahr  rakkhā  hai  to  ye  āb-e-baqā  do  ham  ko
bastiyāñ  aag  meñ  bah  jaa.eñ  ki  patthar  barseñ
ham  agar  so.e  hue  haiñ  to  jagā  do  ham  ko
ham  haqīqat  haiñ  to  taslīm  na  karne  kā  sabab
haañ  agar  harf-e-ġhalat  haiñ  to  miTā  do  ham  ko
ḳhizr  mash.hūr  ho  ilyās  bane  phirte  ho
kab  se  ham  gum  haiñ  hamārā  to  patā  do  ham  ko
ziist  hai  is  sahar-o-shām  se  bezār  o  zubūñ
lāla-o-gul  kī  tarah  rañg-e-qabā  do  ham  ko
shorish-e-ishq  meñ  hai  husn  barābar  kā  sharīk
soch  kar  jurm-e-tamannā  kī  sazā  do  ham  ko
jur.at-e-lams  bhī  imkān-e-talab  meñ  hai  magar
ye  na  ho  aur  gunāhgār  banā  do  ham  ko
kyuuñ  na  us  shab  se  na.e  daur  kā  āġhāz  kareñ
bazm-e-ḳhūbāñ  se  koī  naġhma  sunā  do  ham  ko
maqsad-e-zīst  ġham-e-ishq  hai  sahrā  ho  ki  shahr
baiTh  jā.eñge  jahāñ  chāho  biThā  do  ham  ko
ham  chaTāneñ  haiñ  koī  ret  ke  sāhil  to  nahī
shauq  se  shahr-panāhoñ  meñ  lagā  do  ham  ko
bhiiḌ  bāzār-e-samā.at  meñ  hai  naġhmoñ  kī  bahut
jis  se  tum  sāmne  ubhro  vo  sadā  do  ham  ko
kaun  detā  hai  mohabbat  ko  parastish  kā  maqām
tum  ye  insāf  se  socho  to  duā  do  ham  ko
aaj  māhaul  ko  ārā.ish-e-jāñ  se  hai  gurez
koī  'dānish'  kī  ġhazal  lā  ke  sunā  do  ham  ko