kabhī  kabhī  jo  vo  ġhurbat-kade  meñ  aa.e  haiñ
mire  bahe  hue  aañsū  jabīñ  pe  laa.e  haiñ
na  sarguzisht-e-safar  pūchh  muḳhtasar  ye  hai
ki  apne  naqsh-e-qadam  ham  ne  ḳhud  miTā.e  haiñ
nazar  na  toḌ  sakī  āñsuoñ  kī  chilman  ko
vo  roz  agarche  mire  ā.īne  meñ  aa.e  haiñ
us  ek  sham.a  se  utre  haiñ  bām-o-dar  ke  libās
us  ek  lau  ne  baḌe  phūl-ban  jalā.e  haiñ
ye  dopahar  ye  zamīñ  par  lipā  huā  sūraj
kahīñ  daraḳht  na  dīvār-o-dar  ke  saa.e  haiñ
kalī  kalī  meñ  hai  dhartī  ke  duudh  kī  ḳhushbū
tamām  phuul  usī  ek  maañ  ke  jaa.e  haiñ
nazar  ḳhalāoñ  pe  aur  intizār  be-va.ada
ba-īñ  amal  bhī  vo  āñkhoñ  meñ  jhilmilā.e  haiñ
fusūn-e-sher  se  ham  us  mah-e-gurezāñ  ko
ḳhalāoñ  se  sar-e-kāġhaz  utaar  laa.e  haiñ
risāla  haath  se  rakhte  na  kyuuñ  vo  sharmā  kar
ġhazal  paḌhī  hai  to  ham  sāmne  bhī  aa.e  haiñ
chale  haiñ  ḳhair  se  un  ko  pukārne  'dānish'
magar  vo  yuuñ  to  na  ā.eñge  aur  na  aa.e  haiñ