rānā.i-e-kaunain  se  be-zār  hamīñ  the
ham  the  tire  jalvoñ  ke  talabgār  hamīñ  the
hai  farq  talabgār  o  parastār  meñ  ai  dost
duniyā  thī  talabgār  parastār  hamīñ  the
is  banda-navāzī  ke  tasadduq  sar-e-mahshar
goyā  tirī  rahmat  ke  sazā-vār  hamīñ  the
de  de  ke  nigāhoñ  ko  tasavvur  kā  sahārā
rātoñ  ko  tire  vāste  bedār  hamīñ  the
bazār-e-azal  yuuñ  to  bahut  garm  thā  lekin
le  de  ke  mohabbat  ke  ḳharīdār  hamīñ  the
khaTke  haiñ  tire  saare  gulistāñ  kī  nazar  meñ
sab  apnī  jagah  phuul  the  ik  ḳhaar  hamīñ  the
haañ  aap  ko  dekhā  thā  mohabbat  se  hamīñ  ne
jī  saare  zamāne  ke  gunahgār  hamīñ  the
hai  aaj  vo  sūrat  ki  banā.e  nahīñ  bantī
kal  naqsh-e-do-ālam  ke  qalamkār  hamīñ  the
pachhtāoge  dekho  hameñ  begāna  samajh  kar
mānoge  kisī  vaqt  ki  ġham-ḳhvār  hamīñ  the
arbāb-e-vatan  ḳhush  haiñ  hameñ  dil  se  bhulā  kar
jaise  nigah  o  dil  pe  bas  ik  baar  hamīñ  the
'ehsān'  hai  be-sūd  gila  un  kī  jafā  kā
chāhā  thā  unheñ  ham  ne  ḳhatā-vār  hamīñ  the