zindagī  meñ  us  ko  kaif-e-zindagī  hāsil  nahīñ
jis  kā  dil  rāz-o-niyāz-e-ishq  ke  qābil  nahīñ
husn  ke  parde  meñ  ho  saktā  nahīñ  hargiz  qarār
roz-e-avval  se  ye  lailā  ḳhūgar-e-mahmil  nahīñ
qadr  kar  dil  kī  ki  dargāh-e-ḳhudā  meñ  ai  nadīm
do-jahāñ  kī  ne.amateñ  hāzir  haiñ  lekin  dil  nahīñ
hoshiyār  ai  mast-o-madhosh-e-javānī  hoshiyār
ishq  vo  dariyā  hai  jo  minnat-kash-e-sāhil  nahīñ
zabt-e-nāla  zabt-e-girya  zabt-e-ulfat  zabt-e-shauq
kis  tarah  kah  duuñ  ki  ye  āsāniyāñ  mushkil  nahīñ
apnā  rasta  apnī  dhun  apnā  tasavvur  apnā  shauq
koī  bhī  rahbaro  yahāñ  begāna-e-manzil  nahīñ
hai  tasavvur  ishrat-e-māzī  kā  ā.īna-ba-dast
dil  vahī  dil  hai  magar  vo  garmī-e-mahfil  nahīñ
der  kyā  hai  aa  mire  dil  meñ  samā  jā  barq-e-nāz
shikva-sanjī  fitrat-e-ehsān  meñ  dāḳhil  nahīñ
iltimās-e-shauq  par  'ehsān'  mahshar  Dah  gayā
un  kā  sharmā  kar  ye  kahnā  maiñ  tire  qābil  nahīñ