ek  dhokā  hai  ye  shab-rañg  saverā  kyā  hai
ye  ujālā  hai  ujālā  to  añdherā  kyā  hai
tū  mire  ġham  meñ  na  hañstī  huī  āñkhoñ  ko  rulā
maiñ  to  mar  mar  ke  bhī  jī  saktā  huuñ  merā  kyā  hai
zarre  zarre  meñ  dhaḌaktī  hai  koī  shai  jaise
tirī  nazroñ  ne  fazāoñ  meñ  bikherā  kyā  hai
dard-e-duniyā  kī  taḌap  dil  meñ  mire  rahne  de
tū  to  āñkhoñ  meñ  bhī  rah  saktī  hai  terā  kyā  hai
tañg  hai  'shād'  mire  zauq  kī  vus.at  ke  liye
halqa-e-zulf  hai  āfāq  kā  gherā  kyā  hai