phir  is  duniyā  se  ummīd-e-vafā  hai
tujhe  ai  zindagī  kyā  ho  gayā  hai
baḌī  zālim  nihāyat  bevafā  hai
ye  duniyā  phir  bhī  kitnī  ḳhushnumā  hai
koī  dekhe  to  bazm-e-zindagī  meñ
ujāloñ  ne  añdherā  kar  diyā  hai
ḳhudā  se  log  bhī  ḳhā.if  kabhī  the
magar  logoñ  se  ab  ḳhā.if  ḳhudā  hai
maze  pūchho  kuchh  us  se  zindagī  ke
havādis  meñ  jise  jiinā  paḌā  hai
mire  pahlū  meñ  dil  hai  to  yaqīnan
azal  hī  se  magar  TuuTā  huā  hai
zabān-o-fan  se  maiñ  vāqif  nahīñ  huuñ
magar  vijdān  merā  rahnumā  hai
mire  naqqād  merī  shā.irī  to
mire  TuuTe  hue  dil  kī  sadā  hai
kahāñ  huuñ  'shād'  maiñ  to  shaad  sā  huuñ
vo  shād-e-ḳhush-navā  to  mar  chukā  hai