hayāt  hai  ki  musalsal  safar  kā  aalam  hai
har  ek  saañs  meñ  vahshī  ġhazāl  kā  ram  hai
jahāñ  azal  se  ghaTā-Top  zulmateñ  haiñ  muhīt
vahāñ  bhī  aaj  farozāñ  nigāh-e-ādam  hai
unhīñ  ke  ḳhuun  se  damkegā  kal  ruḳh-e-gītī
hayāt  jin  ke  liye  aaj  sāġhar-e-sam  hai
usī  kī  aañch  se  pighlegā  zindagī  kā  jumūd
jo  soz  aaj  ba-zāhir  diloñ  meñ  kam  kam  hai
jahān-e-soz  hai  mere  ḳhunuk  tarānoñ  meñ
maiñ  vo  sharār  huuñ  jis  par  ridā-e-shabnam  hai
na  jaane  jaag  uThe  'shād'  kab  nasīb-e-jahāñ
bahut  dinoñ  se  mizāj-e-hayāt  barham  hai