nāravā  hai  kisī  kī  hamrāhī
raah  meñ  jā  rahā  huuñ  tanhā  hī
phir  bhī  kaisā  nafīs  dhokā  hai
rañg-o-bū  hai  agarche  dhokā  hī
dil  tirī  yaad  meñ  taḌaptā  hai
jaise  be-āb  ho  koī  maahī
faiz  saaqī  kā  aam  thā  har-chand
ham  ko  rahnā  magar  thā  pyāsā  hī
aadmī  to  faqīr  hī  sā  hai
ThaaT  haiñ  'shād'  ke  magar  shāhī