Duub  kar  paar  utar  ga.e  haiñ  ham
log  samjhe  ki  mar  ga.e  haiñ  ham
ai  ġham-e-dahr  terā  kyā  hogā
ye  agar  sach  hai  mar  ga.e  haiñ  ham
ḳhair-maqdam  kiyā  havādis  ne
zindagī  meñ  jidhar  ga.e  haiñ  ham
yā  bigaḌ  kar  ujaḌ  ga.e  haiñ  log
yā  bigaḌ  kar  sañvar  ga.e  haiñ  ham
maut  ko  muñh  dikhā.eñ  kyā  yā  rab
zindagī  hī  meñ  mar  ga.e  haiñ  ham
haa.e  kyā  shai  hai  nashsha-e-mai  bhī
farsh  se  arsh  par  ga.e  haiñ  ham
ārzūoñ  kī  aag  meñ  jal  kar
aur  bhī  kuchh  nikhar  ga.e  haiñ  ham
jab  bhī  ham  ko  kiyā  gayā  mahbūs
misl-e-nik.hat  bikhar  ga.e  haiñ  ham
shādmānī  ke  rañg-mahloñ  meñ
'shād'  bā-chashm-e-tar  ga.e  haiñ  ham