Shabi Farooqui

itna ehsan aur karta kaun

Shabi Farooqui

itnā ehsān aur kartā kaun
mujhe se baḌh kar mujhe samajhtā kaun
dīn-o-duniyā se māvarā thā maiñ
merī bātoñ pe kaan dhartā kaun
maiñ na hotā to yuuñ lab-e-dariyā
aabrū tishnagī kī rakhtā kaun
jo kisī ne likhā nahīñ vo harf
maiñ na likhtā to aur likhtā kaun
khoT mujh meñ to sab ne dekh liyā
apnā sonā magar parakhtā kaun
jis kī manzil ho ḳhvāb-e-dar-basta
us musāfir ke saath chaltā kaun
aa.ina apne rū-ba-rū rakh kar
maiñ na hañstā to mujh pe hañstā kaun
Top Urdushayar.com