apne  ehsānoñ  kā  niilā  sā.ebāñ  rahne  diyā
chhīn  lī  chhat  aur  sar  par  āsmāñ  rahne  diyā
aaj  us  kī  be-zabānī  ne  mujhe  samjhā  diyā
kis  liye  fitrat  ne  gul  ko  be-zabāñ  rahne  diyā
zindagī  to  kyā  asāsa  tak  nahīñ  baaqī  bachā
qātiloñ  ne  ab  ke  bas  ḳhālī  makāñ  rahne  diyā
ḳhauf-e-rusvā.ī  se  maiñ  ne  ḳhat  jalā  Daalā  magar
jaane  kyuuñ  us  chāñd  se  lab  kā  nishāñ  rahne  diyā
dostī  ko  apnī  majbūrī  nahīñ  samjhā  kabhī
fāsla  maiñ  ne  barābar  darmiyāñ  rahne  diyā
be-gunāhī  kī  safā.ī  de  bhī  saktā  thā  magar
kuchh  samajh  kar  maiñ  ne  us  ko  bad-gumāñ  rahne  diyā
aag  ke  bāzīgaroñ  ne  ab  ke  khel  aisā  khelā
shahr  kī  taqdīr  meñ  ḳhālī  dhuāñ  rahne  diyā
kyā  siyāsī  chaal  hai  ye  zālimān-e-vaqt  kī
le  liyā  sab  kuchh  magar  ik  ḳhauf-e-jāñ  rahne  diyā
chauñk  chauñk  uThtā  huuñ  maiñ  rātoñ  ko  'ibrat'  ḳhauf  se
ḳhvāb  us  ne  merī  āñkhoñ  meñ  kahāñ  rahne  diyā