havādisāt  zarūrī  haiñ  zindagī  ke  liye
ki  moḌ  hote  haiñ  har  raah  har  galī  ke  liye
na  koī  mere  liye  hai  na  maiñ  kisī  ke  liye
bas  ek  lafz-e-nadāmat  huuñ  zindagī  ke  liye
vo  titliyoñ  kī  tarah  mujh  se  aur  duur  huā
baḌhāyā  jis  kī  taraf  haath  dostī  ke  liye
ye  uzv  uzv  mirā  pyaas  se  sulagtā  hai
mujhe  lahū  kī  zarūrat  hai  tishnagī  ke  liye
ab  is  se  baḌh  ke  mirā  imtihān  kyā  hogā
maiñ  zahr  pī  ke  jiyā  huuñ  tirī  ḳhushī  ke  liye
jo  ho  sake  to  ḳhud  ashkoñ  ko  poñchh  lo  'ibrat'
kisī  ke  paas  kahāñ  vaqt  dil-dahī  ke  liye