Ibrat Machlishahri

ye takalluf ye mudaraat samajh mein aae

Ibrat Machlishahri

ye takalluf ye mudārāt samajh meñ aa.e
ho judā.ī to mulāqāt samajh meñ aa.e
ruuh kī pyaas phuvāroñ se kahīñ bujhtī hai
TuuT ke barse to barsāt samajh meñ aa.e
jāgte lab mire aur us kī jhapaktī āñkheñ
niiñd aa.e to kahāñ baat samajh meñ aa.e
lī thī mauhūm tahaffuz ke gharauñde meñ panāh
ret jab bikhrī to hālāt samajh meñ aa.e
uñgliyāñ jism ke sab aib-o-hunar jāntī haiñ
lams jaage to ik ik baat samajh meñ aa.e
saikḌoñ haath mire qatl meñ Thahre haiñ sharīk
ek do hoñ to koī baat samajh meñ aa.e
kabhī utrā hī nahīñ us ke takalluf kā libās
ho barahna to mulāqāt samajh meñ aa.e
koī āsāñ nahīñ jal jal ke sahar kar lenā
sham.a ban jaao to phir raat samajh meñ aa.e
tum kisī ret ke Tiile pe khaḌe ho 'ibrat'
uTThe tūfāñ to phir auqāt samajh meñ aa.e
Top Urdushayar.com