ye  takalluf  ye  mudārāt  samajh  meñ  aa.e
ho  judā.ī  to  mulāqāt  samajh  meñ  aa.e
ruuh  kī  pyaas  phuvāroñ  se  kahīñ  bujhtī  hai
TuuT  ke  barse  to  barsāt  samajh  meñ  aa.e
jāgte  lab  mire  aur  us  kī  jhapaktī  āñkheñ
niiñd  aa.e  to  kahāñ  baat  samajh  meñ  aa.e
lī  thī  mauhūm  tahaffuz  ke  gharauñde  meñ  panāh
ret  jab  bikhrī  to  hālāt  samajh  meñ  aa.e
uñgliyāñ  jism  ke  sab  aib-o-hunar  jāntī  haiñ
lams  jaage  to  ik  ik  baat  samajh  meñ  aa.e
saikḌoñ  haath  mire  qatl  meñ  Thahre  haiñ  sharīk
ek  do  hoñ  to  koī  baat  samajh  meñ  aa.e
kabhī  utrā  hī  nahīñ  us  ke  takalluf  kā  libās
ho  barahna  to  mulāqāt  samajh  meñ  aa.e
koī  āsāñ  nahīñ  jal  jal  ke  sahar  kar  lenā
sham.a  ban  jaao  to  phir  raat  samajh  meñ  aa.e
tum  kisī  ret  ke  Tiile  pe  khaḌe  ho  'ibrat'
uTThe  tūfāñ  to  phir  auqāt  samajh  meñ  aa.e