ai  mausam-e-junūñ  ye  ajab  tarz-e-qatl  hai
insāniyat  ke  khetoñ  meñ  lāshoñ  kī  fasl  hai
apne  lahū  kā  rañg  bhī  pahchāntī  nahīñ
insān  ke  nasīb  meñ  andhoñ  kī  nasl  hai
munsif  to  faisloñ  kī  tijārat  meñ  lag  ga.e
ab  jaane  kis  se  ham  ko  taqāzā-e-adl  hai
dushman  kā  hausla  kabhī  itnā  qavī  na  thā
mere  tabāh  hone  meñ  terā  bhī  daḳhl  hai
laḌte  bhī  haiñ  to  pyaar  se  muñh  moḌte  nahīñ
ham  se  kahīñ  ziyāda  to  bachchoñ  meñ  aql  hai
tārīḳh  kah  rahī  hai  ki  chehra  badal  gayā
insān  hai  musir  ki  vahī  apnī  shakl  hai
dāvā-e-ḳhūñ-bahā  na  tazallum  na  ehtijāj
kis  be-navā-e-vaqt  kā  'ibrat'  ye  qatl  hai