Adeem Hashmi

dard hote hain kai dil mein chhupane ke liye

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
dard hote haiñ ka.ī dil meñ chhupāne ke liye
sab ke sab aañsū nahīñ hote bahāne ke liye
umr tanhā kaaT dī va.ada nibhāne ke liye
ahd bāñdhā thā kisī ne āzmāne ke liye
ye qafas hai ghar kī zebā.ish baḌhāne ke liye
ye parinde to nahīñ haiñ āshiyāne ke liye
kuchh diye dīvār par rakhne haiñ vaqt-e-intizār
kuchh diye laayā huuñ palkoñ par jalāne ke liye
vo ba-zāhir to milā thā ek lamhe ko 'adīm'
umr saarī chāhiye us ko bhulāne ke liye
log zer-e-ḳhāk bhī to Duub jaate haiñ 'adīm'
ik samundar hī nahīñ hai Duub jaane ke liye
tū pas-e-ḳhanda-labī aahoñ kī āvāzeñ to sun
ye hañsī to aa.ī hai aañsū chhupāne ke liye
koī ġham ho koī dukh ho dard koī ho 'adīm'
muskurānā paḌ hī jaatā hai zamāne ke liye
Top Urdushayar.com