dard  hote  haiñ  ka.ī  dil  meñ  chhupāne  ke  liye
sab  ke  sab  aañsū  nahīñ  hote  bahāne  ke  liye
umr  tanhā  kaaT  dī  va.ada  nibhāne  ke  liye
ahd  bāñdhā  thā  kisī  ne  āzmāne  ke  liye
ye  qafas  hai  ghar  kī  zebā.ish  baḌhāne  ke  liye
ye  parinde  to  nahīñ  haiñ  āshiyāne  ke  liye
kuchh  diye  dīvār  par  rakhne  haiñ  vaqt-e-intizār
kuchh  diye  laayā  huuñ  palkoñ  par  jalāne  ke  liye
vo  ba-zāhir  to  milā  thā  ek  lamhe  ko  'adīm'
umr  saarī  chāhiye  us  ko  bhulāne  ke  liye
log  zer-e-ḳhāk  bhī  to  Duub  jaate  haiñ  'adīm'
ik  samundar  hī  nahīñ  hai  Duub  jaane  ke  liye
tū  pas-e-ḳhanda-labī  aahoñ  kī  āvāzeñ  to  sun
ye  hañsī  to  aa.ī  hai  aañsū  chhupāne  ke  liye
koī  ġham  ho  koī  dukh  ho  dard  koī  ho  'adīm'
muskurānā  paḌ  hī  jaatā  hai  zamāne  ke  liye