Adeem Hashmi

ek khilauna TuT jaega naya mil jaega

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
ik khilaunā TuuT jā.egā nayā mil jā.egā
maiñ nahīñ to koī tujh ko dūsrā mil jā.egā
bhāgtā huuñ har taraf aise havā ke saath saath
jis tarah sach-much mujhe us kā patā mil jā.egā
kis tarah rokoge ashkoñ ko pas-e-dīvār-e-chashm
ye to paanī hai ise to rāsta mil jā.egā
ek din to ḳhatm hogī lafz o ma.anī kī talāsh
ek din to mujh ko merā mudda.ā mil jā.egā
ek din to apne jhūTe ḳhol ko toḌegā vo
ek din to us kā darvāza khulā mill jā.egā
jā rahā huuñ is yaqīñ se us ke chhoḌe ghar kī samt
jaise vo bāhar galī meñ jhāñktā mil jā.egā
chhoḌ ḳhālī ghar ko aa bāhar chaleñ ghar se 'adīm'
kuchh nahīñ to koī chehra chāñd sā mil jā.egā
tez hotī jā rahī haiñ dhaḌkaneñ aise 'adīm'
jaise agle moḌ par vo be-vafā mil jā.egā
Top Urdushayar.com