Adeem Hashmi

mere raste mein bhi ashjar ugaya kije

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
mere raste meñ bhī ashjār ugāyā kiije
maiñ bhī insāñ huuñ mire sar pe bhī saayā kiije
raat din raah meñ āñkheñ na bichhāyā kiije
raushnī meñ to charāġhoñ ko bujhāyā kiije
aap itnā to mire vāste kar sakte haiñ
aap us shaḳhs kī bāteñ hī sunāyā kiije
haath meñ jo hai bahār us ko to aane diije
kāġhazoñ par to hare peḌ banāyā kiije
rāste dhuup se pighle hī chale jaate haiñ
aap bādal haiñ to phir shahr pe saayā kiije
qaid-e-tanhā.ī meñ kyā aa.egī koī āvāz
baiTh kar apnī hī zanjīr hilāyā kiije
jā chukā shahr se vo apnī udāsī le kar
umr bhar ab dar-o-dīvār sajāyā kiije
lījiye toḌ gayā dam vo sadāoñ kā Dasā
chīḳhiye ab ki yahāñ shor machāyā kiije
phuul khilte haiñ kahāñ ḳhushk chaTānoñ meñ 'adīm'
raah ke sañg hī āñkhoñ se lagāyā kiije
Top Urdushayar.com