Adeem Hashmi

jab bayan karoge tum hum bayan mein niklenge

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
jab bayāñ karoge tum ham bayāñ meñ nikleñge
ham hī dāstāñ ban kar dāstāñ meñ nikleñge
ishq ho mohabbat ho pyaar ho ki chāhat ho
ham to har samundar ke darmiyāñ meñ nikleñge
raat kā añdherā hī raat meñ nahīñ hotā
chāñd aur sitāre bhī āsmāñ meñ nikleñge
dekh to kabhī shab ko kārvāñ sitāroñ kā
nuur ke ka.ī mahmil kahkashāñ meñ nikleñge
boliyāñ zamāne kī muḳhtalif to hotī haiñ
lafz pyaar ke lekin har zabāñ meñ nikleñge
kaaT kar badan saarā qaash qaash meñ jhāñkeñ
aap ke hayūle hī qalb-o-jāñ meñ nikleñge
ḳhaak kā samundar bhī kyā ajab samundar hai
is jahāñ meñ Dūbeñge us jahāñ meñ nikleñge
qissa-e-suḳhan-goī jab 'adīm' aa.egā
ham bhī vāqi.a ban kar dāstāñ meñ nikleñge
sirf sabz patte hī peḌ par nahīñ hote
kuchh na kuchh parinde bhī āshiyāñ meñ nikleñge
Top Urdushayar.com