Adeem Hashmi

main guftugu hun ki tahrir ke jahan mein hun

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
maiñ guftugū huuñ ki tahrīr ke jahān meñ huuñ
mujhe samajh to sahī maiñ tirī zabān meñ huuñ
ḳhud apnī saañs ki ruktī hai apne chalne se
ye kyā ghuTan hai maiñ kis tañg se makān meñ huuñ
jilā rahā hai mare jism ko mirā hī kamāl
maiñ ek tiir huuñ TuuTī huī kamān meñ huuñ
guzar rahī hai mare sar se gāhakoñ kī nigāh
zarā sī chiiz huuñ lekin baḌī dukān meñ huuñ
mire qarīb se guzrā nahīñ hai sañg-tarāsh
mujassama huuñ maiñ ab tak magar chaTān meñ huuñ
mujhī meñ guuñj rahī hai mire suḳhan kī sadā
navā-e-garm huuñ maiñ dasht-e-be-zabān meñ huuñ
'adīm' baiThā huā huuñ paroñ ke Dher pe maiñ
ḳhush is tarah huuñ ki jaise kisī uḌaan meñ huuñ
Top Urdushayar.com