Adeem Hashmi

gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya

Adeem Hashmi

Firozpur, Punjab, India

1946-2001
ġham hai vahīñ pa ġham kā sahārā guzar gayā
dariyā Thahar gayā hai kināra guzar gayā
bas ye safar hayāt kā itnī sī zindagī
kyuuñ itnī jaldī rāsta saarā guzar gayā
vo jis kī raushnī se chamaknā thā baḳht ko
kis āsmān se vo sitāra guzar gayā
kyā zikr us ghaḌī kā kaḌī thī ki sahl thī
jo vaqt jis tarah bhī guzārā guzar gayā
tafhīm-e-dostī meñ baḌī bhuul ho ga.ī
phir duur se hī dost hamārā guzar gayā
kar ke yaqīn phir se ki maiñ mushkiloñ meñ huuñ
Thahrā nahīñ vo shaḳhs dobāra guzar gayā
ik vaqt ḳhush-nasīb sā aayā to thā 'adīm'
maddham sī ik sadā meñ pukārā guzar gayā
mujrim huā thā aañkh jhapakne kā maiñ 'adīm'
jo zehn meñ basā thā nazāra guzar gayā
Top Urdushayar.com