logoñ  ke  dard  apnī  pashemāniyāñ  milīñ
ham  shāh-e-ġham  the  ham  ko  yahī  rāniyāñ  milīñ
sahrāoñ  meñ  bhī  jā  ke  nazar  aa.e  sail-e-āb
dariyā  se  duur  bhī  hameñ  tuġhyāniyāñ  milīñ
aayā  na  phir  vo  daur  ki  jī  bhar  ke  kheliye
bachpan  ke  ba.ad  phir  na  vo  nādāniyāñ  milīñ
rah  kar  alag  bhī  saath  rahā  hai  koī  ḳhayāl
tanhā.ī  meñ  bhī  ḳhud  pe  nigahbāniyāñ  milīñ
paanī  ke  saath  aks  bhī  bah  kar  chale  ga.e
sūkhī  nadī  to  phir  vahī  vīrāniyāñ  milīñ
apnī  hī  aañkh  par  ga.e  lamhoñ  kā  bojh  thā
is  kī  nazar  meñ  to  vahī  jaulāniyāñ  milīñ
baiThā  rahā  humā-e-sitam  sar  pe  hī  'adīm'
har  dasht-e-karb  kī  hameñ  sultāniyāñ  milīñ