butoñ  se  kuchh  na  huā  jo  huā  ḳhudā  se  huā
davā  se  kuchh  na  banā  jo  huā  duā  se  huā
bharam  darāzī-e-dāmān-e-yār  kā  na  rahā
ajiib  kaam  mire  dast-e-nā-rasā  se  huā
diloñ  ko  sabr-o-sukūñ  to  na  mil  sakā  lekin
koī  to  kaam  tirī  chashm-e-bā-hayā  se  huā
lagā  dī  aag  sī  jañgal  meñ  nāb-kāroñ  ke
ye  fā.eda  to  mirī  ātishīñ-navā  se  huā
diloñ  ko  ishq  ne  baḳhshī  hayāt-e-ġham-afzā
ajab  nishāna  ḳhatā  tīr-e-be-ḳhatā  se  huā
qalandaroñ  ne  ulaT  dī  bisāt-e-mai-ḳhāna
na  riñd  se  huā  aur  kuchh  na  pārsā  se  huā
muḳhālifoñ  kī  bhī  jo  dushmanī  se  ho  na  sakā
vo  kaam  ik  mire  dam-sāz-o-āshnā  se  huā
na  kuchh  bhī  kar  sake  as.hāb-e-fīl  the  to  bahut
jo  kuchh  huā  tire  darvesh-e-be-navā  se  huā
ghuTan  to  dil  kī  rahī  qasr-e-marmarīñ  meñ  bhī
na  raushnī  se  huā  kuchh  na  kuchh  havā  se  huā
vo  ek  qatl  kā  ilzām  sar  pe  thā  so  rahā
qisās  se  na  huā  kuchh  na  ḳhūñ-bahā  se  huā