aadmī  bhī  aadmī  kā  rāzdāñ  hotā  nahīñ
be  ḳhabar  rahtā  hai  lekin  bad-gumāñ  hotā  nahīñ
zahmateñ  yaksāñ  makān-o-lā-makāñ  se  kyā  huā
kyā  ḳhalāoñ  se  pare  bhī  āsmāñ  hotā  nahīñ
ham  ki  ḳhud  rah-rav  bhī  haiñ  rahbar  bhī  haiñ  rahzan  bhī  haiñ
vaañ  pahuñchte  haiñ  jahāñ  par  kārvāñ  hotā  nahīñ
baḌh  ga.e  iḳhvān-e-yūsuf  se  ye  iḳhvānus-safā
pheñk  dete  haiñ  vahāñ  jis  jā  kuaañ  hotā  nahīñ
hai  jarāhat-āfrīñ  darmān-e-dard-e-lā-davā
sho.ala  kartā  hai  sharar-bārī  dhuāñ  hotā  nahīñ
husn-e-be-pardā  harīf-e-tāb-e-nazzāra  nahīñ
ho  nazar  ke  sāmne  lekin  ayaañ  hotā  nahīñ
marg-e-be-hañgām  apne  shahr  kā  ma.amūl  hai
log  mar  jaate  haiñ  koī  nauha-ḳhvāñ  hotā  nahīñ
jo  bhī  ho  jis  haal  meñ  hai  zindagī  us  ko  aziiz
jān-e-jāñ  kahne  se  kuchh  jān-e-jahāñ  hotā  nahīñ
be-adā-kārī  bhī  ḳhāmoshī  se  mar  jaate  haiñ  log
yaañ  pe  koī  khel  mirzā  sāhebāñ  hotā  nahīñ