jalva-e-nau-bahār  ne  luuT  liyā  luTā  diyā
gesu-e-mushk-bār  ne  luuT  liyā  luTā  diyā
bazm  meñ  kah  ke  hāl-e-dil  un  ko  kyā  hai  muzmahil
dīda-e-ashk-bār  ne  luuT  liyā  luTā  diyā
haa.e  vo  dil-farebiyāñ  husn-e-nazar-fareb  kī
jalva-e-husn-e-yār  ne  luuT  liyā  luTā  diyā
pursish-e-ġham  pe  haath  se  dāman-e-zabt  chhuT  gayā
mehr-e-nigāh-e-yār  ne  luuT  liyā  luTā  diyā
un  kī  nazar  kī  kyā  ḳhatā  dil  se  huā  qusūr-e-shauq
apne  hī  rāz-dār  ne  luuT  liyā  luTā  diyā
haa.e  vo  chashm-e-nargis-e-jām-e-sharāb-e-ātishīñ
gardish-e-chashm-e-yār  ne  luuT  liyā  luTā  diyā
aa.e  bhī  yā  na  aa.e  ab  mujh  ko  ġharaz  bahār  se
kaif-e-ġham-e-bahār  ne  luuT  liyā  luTā  diyā
dāvar-e-hashr  ke  huzūr  shikve  zabāñ  pe  ruk  ga.e
dīda-e-sharmsār  ne  luuT  liyā  luTā  diyā
āh-e-jigar-ḳhrāsh  se  nazm-e-jahāñ  badal  diyā
'ḳhālid'-e-dil-e-figār  ne  luuT  liyā  luTā  diyā