fasāna-e-ġham-e-dil  muḳhtasar  nahīñ  hotā
ab  us  galī  se  hamārā  guzar  nahīñ  hotā
hazār  aise  ki  phirte  haiñ  jo  ḳhalāoñ  meñ
magar  ik  ham  ki  vatan  meñ  safar  nahīñ  hotā
jise  masīl  samajhte  ho  be-misāl  hai  vo
jo  ek  baar  ho  bār-e-digar  nahīñ  hotā
ḳhud  apnā  saath  bhī  ham  ko  girāñ  guzartā  hai
safar  vahī  hai  jahāñ  ham-safar  nahīñ  hotā
amiir  us  kā  lahū  pī  rahā  hai  barsoñ  se
magar  ġharīb  pe  koī  asar  nahīñ  hotā
ḳhalā  se  guzre  haiñ  mirrīḳh  par  bhī  pahuñche  haiñ
magar  kisī  kā  falak  par  guzar  nahīñ  hotā