kuchh  na  ḳhat  meñ  na  kuchh  javāb  meñ  hai
jo  bhī  kuchh  hai  tire  hisāb  meñ  hai
ye  vafā  bhī  jafā  ke  baab  meñ  hai
jaan  merī  bhī  ik  azaab  meñ  hai
tere  jalve  se  mehr-e-ālam-tāb
nuur  jis  tarah  māhtāb  meñ  hai
apnī  hai  aur  manzil-e-maqsūd
aap  kā  kūcha  pāturāb  meñ  hai
kuchh  na  samjhe  haqīqat-e-ālam
saarā  hañgāma  ek  ḳhvāb  meñ  hai
tum  ne  kyā  baat  raat  kah  dī  thī
ġhair  bhī  aaj  iztirāb  meñ  hai
rashk-e-ishrat  hai  lazzat-e-hasrat
kuchh  gunah  meñ  hai  ne  savāb  meñ  hai
hosh  aa.egā  ab  qayāmat  ko
saarī  duniyā  abhī  to  ḳhvāb  meñ  hai
jab  se  va.ada  kiyā  hai  aane  kā
'qādrī'  un  ke  ro.ab-o-dāb  meñ  hai