mere  ā.īne  meñ  tum  sūrat-e-zebā  dekho
tum  ne  ab  tak  jo  na  dekhā  ho  vo  jalvā  dekho
ik  jahāñ  da.avat-e-nazzāra  hai  kyā  kyā  dekho
husn-e-dīdār-talab  kā  bhī  tamāshā  dekho
jāgtī  āñkhoñ  ke  ḳhvāboñ  kī  bhī  ta.abīreñ  hoñ
ḳhvāb  kal  raat  jo  dekhā  thā  adhūrā  dekho
hai  vahī  maulā  vahī  apnā  vakīl  aur  nasīr
tum  yahūd  aur  nasārā  kā  sahārā  dekho
kurra-e-arz  bhī  mehvar  se  haTā  jaatā  hai
be-jahat  husn  kā  ik  ye  bhī  tamāshā  dekho
surma-e-shams-o-qamar  rāhat-e-chashm-e-nargis
dil-e-bīnā  se  hī  kaifiyyat-e-fardā  dekho
kahkashāñ  luuT  dī  hai  haath  baḌhā  kar  ham  ne
ab  ḳhalā  se  bhī  pare  jā  ke  ujālā  dekho
ham  ḳhalāoñ  se  bhī  añgāre  lapak  lete  haiñ
kis  jagah  girtā  hai  TuuTā  huā  taarā  dekho
na.ī  duniyā  meñ  na.e  chāñd  sitāre  laao
'qādrī'  ne  bhī  lagāyā  hai  ye  shosha  dekho