kaheñge  kis  se  haiñ  ḳhud  apnī  teġh  ke  ghāyal
na  iḳhtiyār  pe  qaabū  na  jabr  ke  qaa.il
maiñ  ḳhud  huuñ  apnī  tamannā-farebiyoñ  kā  shikār
jo  dil  pe  guzre  guzar  jaa.e  par  na  tū  ho  ḳhajil
hayāt  vaqfa-e-rāhat  hai  rāh-rau  ke  liye
adam  se  tā-ba-adam  hai  safar  kī  ik  manzil
naved-e-ālam-e-nau  de  rahā  hai  sail-e-iram
chhupe  hue  haiñ  samundar  kī  tah  meñ  bhī  sāhil
na  baḌh  sakā  had-e-idrāk  se  shu.ūr-e-talab
gunāhgār  huuñ  maiñ  apne  hausloñ  se  ḳhajil
hai  bār-e-dosh  hamāre  liye  bhī  sar  apnā
tumhāre  shahr  meñ  phirte  haiñ  ab  khule  qātil
mujhe  to  sadma-e-furqat  se  itnā  hosh  na  thā
tumheñ  ḳhabar  hai  ye  kis  kā  dhaḌak  rahā  thā  dil
abhī  se  garmī-e-āġhosh-e-mauj-e-bahr  kahāñ
bahut  hai  duur  abhī  to  murād  kā  sāhil
vo  chaaT  lete  haiñ  kaliyoñ  se  qatra-e-shabnam
jinheñ  samajhte  haiñ  duniyā  meñ  log  dariyā-dil
hamīñ  ne  dard  ko  saare  jahāñ  ke  apnāyā
hamīñ  ko  log  samajhte  haiñ  mujrim-o-qātil
muāhida  bhalā  sayyād-o-said  meñ  kaisā
ye  ittifāq  hai  vo  bhī  haiñ  aaj  pā-dar-gil
qalandarān-e-tahī-dast  kuchh  nahīñ  rakhte
zah-e-nasīb  agar  ho  qubūl  hadiya-e-dil
vo  'qādrī'  ko  samajhte  haiñ  jāñ-nisāroñ  meñ
karam  hai  un  kā  faqat  ham  nahīñ  kisī  qābil