Ameeta Parsuram Meeta

zindagi apna safar tai to karegi lekin

Ameeta Parsuram Meeta

1955
zindagī apnā safar tai to karegī lekin
ham-safar aap jo hote to mazā aur hī thā
ka.aba o dair meñ ab DhūñD rahī hai duniyā
jo dil o jaan meñ bastā thā ḳhudā aur hī thā
ab ye aalam hai ki daulat kā nasha taarī hai
jo kabhī ishq ne baḳhshā thā nasha aur hī thā
duur se yūñhī lagā thā ki bahut duurī hai
jab qarīb aa.e to jaanā ki gilā aur hī thā
mere dil ne to tujhe aur hī dastak dī thī
tū ne ai jaan jo samjhā jo sunā aur hī thā
Top Urdushayar.com