zindagī  apnā  safar  tai  to  karegī  lekin
ham-safar  aap  jo  hote  to  mazā  aur  hī  thā
ka.aba  o  dair  meñ  ab  DhūñD  rahī  hai  duniyā
jo  dil  o  jaan  meñ  bastā  thā  ḳhudā  aur  hī  thā
ab  ye  aalam  hai  ki  daulat  kā  nasha  taarī  hai
jo  kabhī  ishq  ne  baḳhshā  thā  nasha  aur  hī  thā
duur  se  yūñhī  lagā  thā  ki  bahut  duurī  hai
jab  qarīb  aa.e  to  jaanā  ki  gilā  aur  hī  thā
mere  dil  ne  to  tujhe  aur  hī  dastak  dī  thī
tū  ne  ai  jaan  jo  samjhā  jo  sunā  aur  hī  thā