hazāroñ  manzileñ  phir  bhī  mirī  manzil  hai  tū  hī  tū
mohabbat  ke  safar  kā  āḳhirī  hāsil  hai  tū  hī  tū
balā  se  kitne  hī  tūfāñ  uThe  bahr-e-mohabbat  meñ
har  ik  dhaḌkan  ye  kahtī  hai  mirā  sāhil  hai  tū  hī  tū
mujhe  ma.alūm  hai  anjām  kyā  hogā  mohabbat  kā
masīhā  tū  hī  tū  hai  aur  mirā  qātil  hai  tū  hī  tū
kiyā  ifshā  mohabbat  ko  mirī  bebāk  nazroñ  ne
zamāne  ko  ḳhabar  hai  mujh  se  bas  ġhāfil  hai  tū  hī  tū
tire  baḳhshe  hue  rañgoñ  se  hai  pur-nūr  har  manzar
yaqīnan  bahr  o  bar  kī  ruuh  meñ  shāmil  hai  tū  hī  tū
tujhī  se  guftugū  har  dam  tirī  hī  justujū  har  dam
mirī  āsāniyāñ  tujh  se  mirī  mushkil  hai  tū  hī  tū
jidhar  jā.ūñ  jidhar  dekhūñ  tire  qisse  tirī  bāteñ
sar-e-mahfil  hai  tū  hī  tū  pas-e-mahmil  hai  tū  hī  tū