raqīb-e-jāñ  nazar  kā  nuur  ho  jaa.e  to  kyā  kiije
ziyāñ  dil  ko  agar  manzūr  ho  jaa.e  to  kyā  kiije
vafā  karne  se  vo  majbūr  ho  jaa.e  to  kyā  kiije
mohabbat  ruuh  kā  nāsūr  ho  jaa.e  to  kyā  kiije
vahī  charche  vahī  qisse  milī  rusvā.iyāñ  ham  ko
unhī  qissoñ  se  vo  mash.hūr  ho  jaa.e  to  kyā  kiije
zamāne  se  gilā  kaisā  jab  apne  jism  kā  saaya
añdhere  meñ  hamīñ  se  duur  ho  jaa.e  to  kyā  kiije
ḳhudā  ko  itnā  chāhūñ  to  ḳhudā  ho  jā.egā  raazī
magar  vo  aur  bhī  maġhrūr  ho  jaa.e  to  kyā  kiije
munavvar  jis  ke  dam  se  thiiñ  hamārī  zindagī  'mītā'
vahī  mahtāb  gar  mastūr  ho  jaa.e  to  kyā  kiije