sub.h-e-raushan  ko  añdheroñ  se  bharī  shaam  na  de
dil  ke  rishte  ko  mirī  jaan  koī  naam  na  de
moḌ  aate  hī  mujhe  chhoḌ  ke  jaane  vaale
phir  se  tanhā.iyāñ  be-chainiyāñ  kohrām  na  de
mujh  ko  mat  bāñdh  vafādārī  kī  zanjīroñ  meñ
maiñ  ki  bādal  huuñ  bhaTak  jaane  kā  ilzām  na  de
mutma.in  donoñ  haiñ  maiñ  aur  merī  tarz-e-hayāt
tishnagī  mere  muāfiq  hai  koī  jaam  na  de
āsmāñ  dene  kā  ai  dost  dikhāvā  mat  kar
mujh  ko  uḌne  kī  ijāzat  tū  tah-e-dām  na  de
haañ  nibhā.e  haiñ  mohabbat  ke  farā.ez  maiñ  ne
mustahiq  bhī  huuñ  magar  koī  bhī  in.aam  na  de
dil  ke  afsāne  kā  āġhāz  hasīñ  hai  'mītā'
silsila  yūñhī  chale  koī  bhī  anjām  na  de