khīñch  laayā  tujhe  ehsās-e-tahaffuz  mujh  tak
ham-safar  hone  kā  terā  bhī  irāda  kab  thā
darguzar  kartī  rahī  terī  ḳhatā.eñ  barsoñ
mere  jazbāt  o  ḳhayālāt  tū  samjhā  kab  thā
mauj-dar-mauj  bhañvar  khīñch  rahā  thā  mujh  ko
merī  kashtī  ke  liye  koī  kināra  kab  thā
zāhiran  saath  vo  mere  thā  magar  āñkhoñ  se
bad-gumānī  ke  naqāboñ  ko  utārā  kab  thā
tujh  ko  ma.alūm  nahīñ  apnī  vafāoñ  ke  evaz
jān-e-jāñ  maiñ  ne  jo  chāhā  thā  ziyāda  kab  thā
do  kināroñ  ko  milāyā  thā  faqat  lahroñ  ne
ham  agar  us  ke  na  the  vo  bhī  hamārā  kab  thā
us  ne  merī  hī  rifāqat  ko  banāyā  mulzim
maiñ  agar  bhiiḌ  meñ  thī  vo  bhī  akelā  kab  thā
vo  tirā  ahd-e-vafā  yaad  hai  ab  tak  'mītā'
bhuul  baiThī  huuñ  mohabbat  kā  zamāna  kab  thā