Khursheed Rizvi

kuchh phul the kuchh abr tha kuchh baad-e-saba thi

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
kuchh phuul the kuchh abr thā kuchh bād-e-sabā thī
kuchh vaqt thā kuchh vaqt se bāhar kī fazā thī
kuchh rañg the kuchh dhuup thī kuchh dahshat-e-anjām
kuchh saañs the kuchh saañs meñ ḳhushbū-e-fanā thī
kuchh rañg-e-shafaq tez thā kuchh aañkh meñ ḳhuuñ thā
kuchh zehn pe chhā.ī tire hāthoñ kī hinā thī
kuchh guzrī huī umr kī yādoñ kā fusūñ thā
kuchh aate hue vaqt ke qadmoñ kī sadā thī
sadiyoñ se dhaḌaktī huī ik chaap thī dil meñ
ek ek ghaḌī sūrat-e-naqsh-e-kaf-e-pā thī
donoñ ko vahī ek bikhar jaane kā Dar thā
maiñ thā gul-e-sad-chāk thā aur tez havā thī
'ḳhurshīd' sar-e-shām tah-e-dāman-e-kohsār
dil thā ki vahī koh kī derīna nidā thī
Top Urdushayar.com