Khursheed Rizvi

nabz-e-ayyam tere khoj mein chalna chahe

Khursheed Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1942
nabz-e-ayyām tire khoj meñ chalnā chāhe
vaqt ḳhud shīsha-e-sā.at se nikalnā chāhe
dastakeñ detā hai paiham mirī shiryānoñ meñ
ek chashma ki jo patthar se ubalnā chāhe
mujh ko manzūr hai vo silsila-e-sañg-e-girāñ
kohkan mujh se agar vaqt badalnā chāhe
tham gayā aa ke dam-e-bāz-pasīñ lab pe vo naam
dil ye motī na ugalnā na nigalnā chāhe
ham to ai daur-e-zamāñ ḳhaak ke zarre Thahre
tū to phūloñ ko bhī qadmoñ meñ masalnā chāhe
kah rahī hai ye zamistāñ kī shab-e-chārdahum
koī parvāna jo is aag meñ jalnā chāhe
umr isī Thokareñ khāne ke amal meñ guzrī
jis tarah sañg Dhalānoñ pe sambhalnā chāhe
sub.h-dam jis ne uchhālā thā fazā meñ ḳhurshed
dil sar-e-shām usī baam pe Dhalnā chāhe
Top Urdushayar.com