ham  jo  dīvār  pe  tasvīr  banāne  lag  jaa.eñ
titliyāñ  aa  ke  tire  rañg  churāne  lag  jaa.eñ
phir  na  ho  maḳhmalī  takiye  kī  zarūrat  mujh  ko
tere  baazū  jo  kabhī  mere  sirhāne  lag  jaa.eñ
chāñd  tāroñ  meñ  bhī  tab  nuur  izāfī  ho  jaa.e
chhat  pe  jab  zikr  tirā  yaar  sunāne  lag  jaa.eñ
chand  sikkoñ  pe  tum  itrā.e  hue  phirte  ho
haath  muflis  ke  kahīñ  jaise  ḳhazāne  lag  jaa.eñ
kyuuñ  na  phir  shāḳh  shajar  phuul  sabhī  murjhā.eñ
bhaa.ī  jab  sahn  meñ  dīvār  uThāne  lag  jaa.eñ
us  ne  do  lafz  meñ  jo  bāteñ  kahīñ  thī  mujh  se
us  ko  maiñ  sochne  baiThūñ  to  zamāne  lag  jaa.eñ
phir  zamāne  meñ  na  ho  koī  pareshāñ  'nādim'
tere  jaise  bhī  nikamme  jo  kamāne  lag  jaa.eñ