Nadim Nadeem

sar uThane ki to himmat nahin karne wale

Nadim Nadeem

Bhargain, Uttar pradesh, India

1994

sar uThāne to himmat nahīñ karne vaale

ye jo murda haiñ baġhāvat nahīñ karne vaale

muflisī laakh sahī ham meñ vo ḳhuddārī hai

hākim-e-vaqt ḳhidmat nahīñ karne vaale

in se ummīd na rakh haiñ ye siyāsat vaale

ye kisī se bhī mohabbat nahīñ karne vaale

haath āñdhī se milā aa.e isī daur ke log

ye charāġhoñ hifāzat nahīñ karne vaale

ishq ham ko ye nibhānā hai to jo rakh sharteñ

ham kisī shart pe hujjat nahīñ karne vaale

phoḌ kar sar tire dar par yahīñ mar jā.eñge

ham tire shahr se hijrat nahīñ karne vaale

Top Urdushayar.com