ġhaur  se  mujh  ko  dekhtā  hai  kyā
mere  chehre  pe  kuchh  likhā  hai  kyā
merī  āñkhoñ  meñ  jhāñktā  hai  kyā
tujh  ko  in  meñ  hī  Dūbnā  hai  kyā
mere  hoñToñ  ko  chhū  liyā  us  ne
kyā  batā.ūñ  mujhe  huā  hai  kyā
ai  kabūtar  zarā  batā  mujh  ko
un  kī  chhat  par  bhī  baiThtā  hai  kyā
par  kaTe  panchhiyoñ  se  pūchhte  ho
tum  meñ  uḌne  kā  hausla  hai  kyā
fāsle  ishq  meñ  hī  hote  haiñ
tujh  ko  ye  bhī  nahīñ  patā  hai  kyā
merī  duniyā  meñ  bas  tū  hī  tū  hai
ab  batā  terā  faisla  hai  kyā
pyaar  se  maañg  lī  hai  jaan  us  ne
mere  hisse  meñ  ab  bachā  hai  kyā
chal  kahīñ  duur  chalte  haiñ  'nādim'
ghar  ko  jaane  meñ  bhī  rakhā  hai  kyā