ye  kis  se  aaj  barham  ho  ga.ī  hai
ki  zulf-e-yār  pur-ḳham  ho  ga.ī  hai
Tapak  paḌte  haiñ  vaqt-e-sub.h  aañsū
ye  aadat  misl-e-shabnam  ho  ga.ī  hai
ba-zāhir  garm  hai  bāzār-e-ulfat
magar  jins-e-vafā  kam  ho  ga.ī  hai
zahe  tāsīr-e-kū-e-ḳhāk-e-jānāñ
mire  zaḳhmoñ  pe  marham  ho  ga.ī  hai
bas  ai  dast-e-ajal  kuchh  rahm  bhī  kar
ki  duniyā  bazm-e-mātam  ho  ga.ī  hai
nahīñ  ḳhauf-e-shab-e-hijrāñ  mujhe  ab
mirī  ġham-ḳhvār  o  hamdam  ho  ga.ī  hai
yahī  hālat  hai  ik  muddat  se  'mahrūm'
tabī.at  ḳhūgar-e-ġham  ho  ga.ī  hai