bā.is-e-imbisāt  ho  āmad-e-nau-bahār  kyā
rañg-e-chaman  dikhā.egā  sīna-e-dāġh-dār  kyā
gumbad-e-gard-bād  hai  sar-ba-falak  har  ik  taraf
dasht-e-junūñ  meñ  rah  ga.ī  qais  kī  yādgār  kyā
talḳh  hai  ziist  kījiye  kis  liye  talḳh-tar  ise
ḳhurramī-e-guzishta  ko  roiye  baar  baar  kyā
shām-e-visāl  se  ho  kyā  mahv-e-fareb-e-ārzū
yaad  nahīñ  rahī  hameñ  sub.h-e-vidā-e-yār  kyā
aap  hī  miT-miTā  ke  ham  ḳhāk-e-rah-e-fanā  hue
aur  miTā.egī  hameñ  gardish-e-rozgār  kyā