kam  na  thī  sahrā  se  kuchh  bhī  ḳhāna-vīrānī  mirī
maiñ  nikal  aayā  kahāñ  ai  vaa.e  nādānī  mirī
kyā  banā.ūñ  maiñ  kisī  ko  rahbar-e-mulk-e-adam
ai  ḳhizr  ye  sar-zamīñ  hai  jānī-pahchānī  mirī
jaan  o  dil  par  jitne  sadme  haiñ  isī  ke  dam  se  haiñ
zindagī  hai  fil-haqīqat  dushman-e-jānī  mirī
ibtidā-e-ishq-e-gesū  meñ  na  thiiñ  ye  uljhaneñ
baḌhte  baḌhte  baḌh  ga.ī  āḳhir  pareshānī  mirī
dasht-e-hastī  meñ  ravāñ  huuñ  mudda.ā  kuchh  bhī  nahīñ
kab  huī  mohtāj-e-lailā  qais-sāmānī  mirī
aur  tū  vāqif  nahīñ  koī  dayār-e-ishq  meñ
hai  junūñ  shaidā  mirā  vahshat  hai  dīvānī  mirī
bāġh-e-duniyā  meñ  yūñhī  ro  hañs  ke  kāTūñ  chaar  din
zindagī  hai  shabnam  o  gul  kī  tarah  faanī  mirī
bād-e-tark-e-ārzū  baiThā  huuñ  kaisā  mutma.in
ho  ga.ī  āsāñ  har  ik  mushkil  ba-āsānī  mirī
haañ  ḳhudā-lagtī  zarā  kah  de  tū  ai  husn-e-sanam
āshiqī  auroñ  kī  achchhī  yā  ki  hairānī  mirī
laḳht-e-dil  khāne  ko  hai  ḳhūn-e-jigar  piine  ko  hai
mezbān-e-dahr  ne  kī  ḳhuub  mehmānī  mirī
naġhma-zan  sahrā  meñ  ho  jis  tarah  koī  andalīb
yuuñ  hai  ai  'mahrūm'  sarhad  meñ  ġhazal-ḳhvānī  mirī