nazar  uThā  dil-e-nādāñ  ye  justujū  kyā  hai
usī  kā  jalva  to  hai  aur  rū-ba-rū  kyā  hai
kisī  kī  ek  nazar  ne  batā  diyā  mujh  ko
surūr-e-bāda-e-be-sāġhar-o-subū  kyā  hai
qafas  azaab  sahī  bulbul-e-asīr  magar
zarā  ye  soch  ki  vo  dām-e-rañg-o-bū  kyā  hai
gadā  nahīñ  haiñ  ki  dast-e-savāl  phailā.eñ
kabhī  na  aap  ne  pūchhā  ki  aarzū  kyā  hai
na  mere  ashk  meñ  shāmil  na  un  ke  dāman  par
maiñ  kyā  batā.ūñ  unheñ  ḳhūn-e-ārzū  kyā  hai
suḳhan  ho  sam.a-ḳharāshī  to  ḳhāmushī  behtar
asar  kare  na  jo  dil  par  vo  guftugū  kyā  hai