vo  aa.ī  shām-e-ġham  vaqf-e-balā  hone  kā  vaqt  aayā
taḌapne  loTne  kā  dam  fanā  hone  kā  vaqt  aayā
unheñ  apnī  jafāoñ  par  pashemānī  huī  āḳhir
sharīk-e-mātam-e-ahl-e-vafā  hone  kā  vaqt  aayā
udāsī  har  sahar  kahtī  hai  mujh  se  bazm-e-anjum  kī
uTh  ai  ġham-dīda  uTh  mahv-e-bukā  hone  kā  vaqt  aayā
tirā  milnā  kise  miltā  hai  mamnūn-e-muqaddar  huuñ
magar  afsos  milte  hī  judā  hone  kā  vaqt  aayā
bahār  aa.ī  har  ik  zarre  se  phūTī  husn  kī  duniyā
fareb-e-mā-sivā  ke  haq-numā  hone  kā  vaqt  aayā
qayāmat-ḳhez  hai  husn-e-chaman  ai  bulbul-e-nālāñ
tire  nāloñ  se  phir  mahshar  bapā  hone  kā  vaqt  aayā
mirī  TuuTī  huī  kashtī  thapeḌe  mauj-e-tūfāñ  ke
ḳhudā-e-pāk  tere  nāḳhudā  hone  kā  vaqt  aayā
javānī  jā  chukī  'mahrūm'  zauq-e-ārzū  kaisā
tumhāre  be-niyāz-e-mudda.ā  hone  kā  vaqt  aayā